Un dino ko jeena chahta hu main...
Kya din the wo puraane...Aaj unhe yaad karta hu main...
Bahut aage hu main...par wapas peeche jaana chahta hu main...
Wo dosto se milna, wo din bhar khelna, wo baato ka kabhi khatm na hona,
Din to nahi...par un palo ko wapas jeena chahta hu main...
Dosto ke beech wo pyar aur wo jhagde, wo dilo ka milna,
Un raasto par phir se chalna chahta hu main...
wo college ke din, wo jhumte sitare,
Aaj phir us aasman ko dekhna chahta hu main...
Wo ladkiyo se darna, wo dosto se shartein lagana...
Jeetna to nahi, par wapas khelna chahta hu main...
Aaj yaha baitha hu, Un yaadon ko sawaarte,
Kyunki Zulm-e-Zamaane se darta hu main...
Kya kahu tumse aaj sab kuch hai mere paas,
Bas un dino ko wapas pana chahta hu main...
Kitna suhaana safar hoga wo, Jab saare dost saath honge,
Wo puraane din....Aur Mera ye aaj,
Ye saare pal tab yaad karna chahta hu main...
Tum ek khwab hi sahi...Par un dosto ki mehfil mein...
Tumhe har baar paana chahta hu main....

Comments